Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Varun Gagneja Wahid

  • Ghazal


kisi bhi rahnumai ka koi dawa nahin karte


kisī bhī rahnumā.ī kā koī da.avā nahīñ karte
ġhazal ke pairahan ko ham magar mailā nahīñ karte

hamārī chāhatoñ ne to baḌe iqrār dekhe haiñ
kisī inkār par ham dil kabhī chhoTā nahīñ karte

sarāboñ kī haqīqat se bahut achchhe se vāqif haiñ
kabhī bhī ḳhvāb kā ham din meñ to pīchhā nahīñ karte

yahāñ har shai kī qīmat bas mohabbat hī mohabbat hai
faqīroñ se kabhī jazbāt kā saudā nahīñ karte

musalsal hādsoñ ne ye bhī shafqat chhīn lī ham se
koī jab chhoḌ jaatā hai to ham sochā nahīñ karte

kabhī phir hijratoñ kā un ke man se Dar na niklegā
parinde so rahe hoñ jab shajar kaaTā nahīñ karte

saje bāzār meñ bik jaa.eñ ye lālach to hai 'vāhid'
magar in.aam kī ḳhātir suḳhan halkā nahīñ karte

kisi bhi rahnumai ka koi dawa nahin karte
ghazal ke pairahan ko hum magar maila nahin karte

hamari chahaton ne to baDe iqrar dekhe hain
kisi inkar par hum dil kabhi chhoTa nahin karte

sarabon ki haqiqat se bahut achchhe se waqif hain
kabhi bhi KHwab ka hum din mein to pichha nahin karte

yahan har shai ki qimat bas mohabbat hi mohabbat hai
faqiron se kabhi jazbaat ka sauda nahin karte

musalsal hadson ne ye bhi shafqat chhin li hum se
koi jab chhoD jata hai to hum socha nahin karte

kabhi phir hijraton ka un ke man se Dar na niklega
parinde so rahe hon jab shajar kaTa nahin karte

saje bazar mein bik jaen ye lalach to hai 'wahid'
magar inam ki KHatir suKHan halka nahin karte


Leave a comment

+