Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vishal Khullar

  • Ghazal


waqt ki ungli pakDe rahna achchha lagta hai


vaqt kī uñglī pakḌe rahnā achchhā lagtā hai
ham ko chalte-phirte rahnā achchhā lagtā hai

ek samundar lākhoñ dariyā dil meñ ik tūfān
shām-o-sahar yuuñ milte rahnā achchhā lagtā hai

kitnī rāteñ sote sote guzrīñ ḳhvāboñ meñ
lekin ab to jagte rahnā achchhā lagtā hai

sach ke darvāze par dastak detā rahtā huuñ
aag kī lapTeñ oḌhe rahnā achchhā lagtā hai

phūloñ ke khilne kā mausam duur talak lekin
ġhuncha ġhuncha simTe rahnā achchhā lagtā hai

lamha-lamha pal-pal maiñ ne tum se bāteñ kiiñ
paas tumhāre baiThe rahnā achchhā lagtā hai

sūraj oḌhā taare oḌhe oḌhe din aur raat
ham ko jalte-bujhte rahnā achchhā lagtā hai

tanhā.ī meñ baiTh ke pahroñ tum se bāteñ kiiñ
ham ko ġhazleñ paḌhte rahnā achchhā lagtā hai

kitne saare chehre badle lekin ab 'khullar'
ek salīqa oḌhe rahnā achchhā lagtā hai

waqt ki ungli pakDe rahna achchha lagta hai
hum ko chalte-phirte rahna achchha lagta hai

ek samundar lakhon dariya dil mein ek tufan
sham-o-sahar yun milte rahna achchha lagta hai

kitni raaten sote sote guzrin KHwabon mein
lekin ab to jagte rahna achchha lagta hai

sach ke darwaze par dastak deta rahta hun
aag ki lapTen oDhe rahna achchha lagta hai

phulon ke khilne ka mausam dur talak lekin
ghuncha ghuncha simTe rahna achchha lagta hai

lamha-lamha pal-pal main ne tum se baaten kin
pas tumhaare baiThe rahna achchha lagta hai

suraj oDha tare oDhe oDhe din aur raat
hum ko jalte-bujhte rahna achchha lagta hai

tanhai mein baiTh ke pahron tum se baaten kin
hum ko ghazlen paDhte rahna achchha lagta hai

kitne sare chehre badle lekin ab 'khullar'
ek saliqa oDhe rahna achchha lagta hai


Source: Book : Dhund Mein Amaan (Pg. 44) Author : Vishal Khullar Publication : Insha Publications (2011) Edition : 2011

Leave a comment

+