hamāre darmiyāñ qurbat kahāñ thī
vo mil jaatā mirī qismat kahāñ thī
use chāhā usī ke ḳhvāb dekhe
sivā us ke mujhe fursat kahāñ thī
mire dil meñ uThe tūfān lākhoñ
magar lahje meñ vo shiddat kahāñ thī
bahut masrūf rahtā thā vo āḳhir
use mere liye fursat kahāñ thī
mujhe kahnā thā hāl-e-dil bhī us se
magar kahne kī bhī mohlat kahāñ thī
use khone kā ḳhadsha bhī thā lekin
use paane kī bhī chāhat kahāñ thī
use kahtī magar kaise maiñ kahtī
use kahne kī bhī himmat kahāñ thī
vo mujh se duur thā barsoñ se lekin
nazar se duur vo sūrat kahāñ thī
mujhe bas us kā lahja chūmnā thā
sivā us ke koī hājat kahāñ thī
hamare darmiyan qurbat kahan thi
wo mil jata meri qismat kahan thi
use chaha usi ke KHwab dekhe
siwa us ke mujhe fursat kahan thi
mere dil mein uThe tufan lakhon
magar lahje mein wo shiddat kahan thi
bahut masruf rahta tha wo aaKHir
use mere liye fursat kahan thi
mujhe kahna tha haal-e-dil bhi us se
magar kahne ki bhi mohlat kahan thi
use khone ka KHadsha bhi tha lekin
use pane ki bhi chahat kahan thi
use kahti magar kaise main kahti
use kahne ki bhi himmat kahan thi
wo mujh se dur tha barson se lekin
nazar se dur wo surat kahan thi
mujhe bas us ka lahja chumna tha
siwa us ke koi hajat kahan thi
Leave a comment