Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehtisham Hasan

  • Ghazal


sidhe-sadhe log the pahle ghar bhi sada hota tha


sīdhe-sādhe log the pahle ghar bhī saada hotā thā
kamre kam hote the aur dālān kushāda hotā thā

dekh ke vo ghar gaañv vaale sog manāyā karte the
sahn meñ jo dīvār uThā kar aadhā aadhā hotā thā

mustaqbil aur haal ke āzāroñ ke saath nimaTne ko
chaupāloñ meñ maazī kī yādoñ kā i.aada hotā thā

dukh chāhe jis kā bhī ho vo mill kar bāñTā jaatā thā
ġham to aaj ke jaise the ehsās ziyāda hotā thā

laḌke baale mīloñ paidal paḌhne jaayā karte the
paas hai jo schōl vo pahle dūr-uftāda hotā thā

thak jaatā koī to mil kar bojh ko bāñTā karte the
dost ne dost kā basta apne uupar laadā hotā thā

itnī sharm to hotī thī āñkhoñ meñ pahle vaqtoñ meñ
galī meñ sar nīchā rakhtā jo bāhar daadā hotā thā

soch samajh kar hote the tab saath nibhāne ke va.ade
lekin jo kar lete the vo va.ada puurā hotā thā

ḳhat meñ dil aur tiir banā kar minnat karnī paḌtī thī
yaar bahut mushkil se milne par āmāda hotā thā

dekh 'hasan' kis mansab se le aayā ishq faqīrī tak
jis se pūchhā apne daur meñ vo shahzāda hotā thā

sidhe-sadhe log the pahle ghar bhi sada hota tha
kamre kam hote the aur dalan kushada hota tha

dekh ke wo ghar ganw wale sog manaya karte the
sahn mein jo diwar uTha kar aadha aadha hota tha

mustaqbil aur haal ke aazaron ke sath nimaTne ko
chaupalon mein mazi ki yaadon ka iada hota tha

dukh chahe jis ka bhi ho wo mill kar banTa jata tha
gham to aaj ke jaise the ehsas ziyaada hota tha

laDke baale milon paidal paDhne jaya karte the
pas hai jo school wo pahle dur-uftada hota tha

thak jata koi to mil kar bojh ko banTa karte the
dost ne dost ka basta apne upar lada hota tha

itni sharm to hoti thi aankhon mein pahle waqton mein
gali mein sar nicha rakhta jo bahar dada hota tha

soch samajh kar hote the tab sath nibhane ke wade
lekin jo kar lete the wo wada pura hota tha

KHat mein dil aur tir bana kar minnat karni paDti thi
yar bahut mushkil se milne par aamada hota tha

dekh 'hasan' kis mansab se le aaya ishq faqiri tak
jis se puchha apne daur mein wo shahzada hota tha


Leave a comment

+