Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habeeb Ahmad Siddiqui

  • Ghazal


faiz pahunche hain jo bahaaron se


faiz pahuñche haiñ jo bahāroñ se
pūchhte kyā ho dil-nigāroñ se

āshiyāñ to jalā magar ham ko
khelnā aa gayā sharāroñ se

kyā huā ye ki ḳhuuñ meñ Duubī huī
lapTeñ aatī haiñ lāla-zāroñ se

un meñ hote haiñ qāfile pinhāñ
dil-shikasta na ho ġhubāroñ se

hai yahāñ koī hausle vaalā
kuchh payām aa.e haiñ sitāroñ se

ham se mehr-o-vafā kī baat karo
hosh kī baat hoshyāroñ se

kū-e-jānāñ ho dair ho ki haram
kab mafar hai yahāñ sahāroñ se

faiz pahunche hain jo bahaaron se
puchhte kya ho dil-nigaron se

aashiyan to jala magar hum ko
khelna aa gaya shararon se

kya hua ye ki KHun mein Dubi hui
lapTen aati hain lala-zaron se

un mein hote hain qafile pinhan
dil-shikasta na ho ghubaron se

hai yahan koi hausle wala
kuchh payam aae hain sitaron se

hum se mehr-o-wafa ki baat karo
hosh ki baat hoshyaron se

ku-e-jaanan ho dair ho ki haram
kab mafar hai yahan sahaaron se


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+