Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tabish Mehdi

  • Ghazal


bala se martabe unche na rakhna


balā se martabe ūñche na rakhnā
kisī darbār se rishte na rakhnā

javānoñ ko jo dars-e-buzdilī deñ
kabhī hoñToñ pe vo qisse na rakhnā

agar phūloñ kī ḳhvāhish hai to sun lo
kisī kī raah meñ kāñTe na rakhnā

kabhī tum sā.iloñ se tañg aa kar
gharoñ ke band darvāze na rakhnā

paḌosī ke makāñ meñ chhat nahīñ hai
makāñ apne bahut ūñche na rakhnā

nahīñ hai ghar meñ maal o zar to kyā ġham
virāsat meñ magar qarze na rakhnā

ra.īs-e-shahr ko maiñ jāntā huuñ
koī ummīd tum us se na rakhnā

bahut be-rahm hai 'tābish' ye duniyā
ta.alluq is se tum gahre na rakhnā

bala se martabe unche na rakhna
kisi darbar se rishte na rakhna

jawanon ko jo dars-e-buzdili den
kabhi honTon pe wo qisse na rakhna

agar phulon ki KHwahish hai to sun lo
kisi ki rah mein kanTe na rakhna

kabhi tum sailon se tang aa kar
gharon ke band darwaze na rakhna

paDosi ke makan mein chhat nahin hai
makan apne bahut unche na rakhna

nahin hai ghar mein mal o zar to kya gham
wirasat mein magar qarze na rakhna

rais-e-shahr ko main jaanta hun
koi ummid tum us se na rakhna

bahut be-rahm hai 'tabish' ye duniya
talluq is se tum gahre na rakhna


Leave a comment

+