dhul ga.ī shabnam se lahhū kī miThās
sub.h-dam bhañvre hue kitne udaas
phir koī tesha chaTānoñ par chalā
phir kisī but kī vilādat kī hai aas
duur se takte rahe nañge badan
ho ga.e show-case meñ maile libās
koī darvāza na rahne do khulā
ab koī aane na paa.e mere paas
dhul gai shabnam se lahhu ki miThas
subh-dam bhanwre hue kitne udas
phir koi tesha chaTanon par chala
phir kisi but ki wiladat ki hai aas
dur se takte rahe nange badan
ho gae show-case mein maile libas
koi darwaza na rahne do khula
ab koi aane na pae mere pas
Source: Shab Khoon(Shumara Number-072)
Leave a comment