Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Azam

  • Ghazal


dil mera chiKH raha tha shayad


dil mirā chīḳh rahā thā shāyad
zabt se dard sivā thā shāyad

ek uljhan sī rahī office meñ
ghar pe kuchh chhūT gayā thā shāyad

dukhtī rag ko hī banāyā thā hadaf
vaar apnoñ ne kiyā thā shāyad

ruḳh mirā us kī taraf rahtā thā
vo mirā qibla-numā thā shāyad

maiñ ne pūchhā thā mohabbat hai tumheñ
us ne dhīre se kahā thā shāyad

maiñ ne kuchh aur kahā thā 'āzam'
us ne kuchh aur sunā thā shāyad

dil mera chiKH raha tha shayad
zabt se dard siwa tha shayad

ek uljhan si rahi office mein
ghar pe kuchh chhuT gaya tha shayad

dukhti rag ko hi banaya tha hadaf
war apnon ne kiya tha shayad

ruKH mera us ki taraf rahta tha
wo mera qibla-numa tha shayad

main ne puchha tha mohabbat hai tumhein
us ne dhire se kaha tha shayad

main ne kuchh aur kaha tha 'azam'
us ne kuchh aur suna tha shayad


Leave a comment

+