Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ganesh Bihari Tarz

  • Ghazal


dosti apni jagah aur dushmani apni jagah


dostī apnī jagah aur dushmanī apnī jagah
farz ke anjām dene kī ḳhushī apnī jagah

ham to sargarm-e-safar haiñ aur raheñge umr bhar
manzileñ apnī jagah āvārgī apnī jagah

pattharoñ ke des meñ shīshe kā hai apnā vaqār
devtā apnī jagah aur aadmī apnī jagah

gyaan maanā hai baḌā bhaktī bhī lekin kam nahīñ
āgahī apnī jagah dīvāngī apnī jagah

sub.h haiñ sajde meñ ham to shaam saaqī ke huzūr
bandagī apnī jagah aur mai-kashī apnī jagah

saarā aalam hai tarannum-ḳhez ai shā.ir-navāz
sher kī apnī jagah aur 'tarz' kī apnī jagah

dosti apni jagah aur dushmani apni jagah
farz ke anjam dene ki KHushi apni jagah

hum to sargarm-e-safar hain aur rahenge umr bhar
manzilen apni jagah aawargi apni jagah

pattharon ke des mein shishe ka hai apna waqar
dewta apni jagah aur aadmi apni jagah

gyan mana hai baDa bhakti bhi lekin kam nahin
aagahi apni jagah diwangi apni jagah

subh hain sajde mein hum to sham saqi ke huzur
bandagi apni jagah aur mai-kashi apni jagah

sara aalam hai tarannum-KHez ai shair-nawaz
sher ki apni jagah aur 'tarz' ki apni jagah


Leave a comment

+