ham āvāra gaañv gaañv bastī bastī phirne vaale
ham se priit baḌhā kar koī muft meñ kyuuñ ġham ko apnā le
ye bhīgī bhīgī barsāteñ ye mahtāb ye raushan rāteñ
dil hī na ho to jhūTī bāteñ kyā añdhiyāre kyā ujiyāle
ġhunche ro.eñ kaliyāñ ro.eñ ro ro apnī āñkheñ kho.eñ
chain se lambī taan ke so.eñ is phulvārī ke rakhvāle
dard-bhare gītoñ kī maalā japte japte jīvan guzrā
kis ne sunī haiñ kaun sunegā dil kī bāteñ dil ke naale
hum aawara ganw ganw basti basti phirne wale
hum se prit baDha kar koi muft mein kyun gham ko apna le
ye bhigi bhigi barsaten ye mahtab ye raushan raaten
dil hi na ho to jhuTi baaten kya andhiyare kya ujiyale
ghunche roen kaliyan roen ro ro apni aankhen khoen
chain se lambi tan ke soen is phulwari ke rakhwale
dard-bhare giton ki mala japte japte jiwan guzra
kis ne suni hain kaun sunega dil ki baaten dil ke nale
Source: Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 25) Author : habib jaalib Publication : Tahir publishar,lahore (2012) Edition : 2012
Leave a comment