ḳhatā maiñ ne koī bhārī nahīñ kī
amīr-e-shahr se yaarī nahīñ kī
mire aiboñ ko ginvāyā to sab ne
kisī ne merī ġham-ḳhvārī nahīñ kī
mire sheroñ meñ kyā tāsīr hotī
kabhī maiñ ne adākārī nahīñ kī
kisī mansab kisī ohde kī ḳhātir
koī tadbīr bāzārī nahīñ kī
bas itnī baat par duniyā ḳhafā hai
ki maiñ ne tujh se ġhaddārī nahīñ kī
KHata main ne koi bhaari nahin ki
amir-e-shahr se yari nahin ki
mere aibon ko ginwaya to sab ne
kisi ne meri gham-KHwari nahin ki
mere sheron mein kya tasir hoti
kabhi main ne adakari nahin ki
kisi mansab kisi ohde ki KHatir
koi tadbir bazari nahin ki
bas itni baat par duniya KHafa hai
ki main ne tujh se ghaddari nahin ki
Leave a comment