Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


ishq minnat-e-kash-e-qarar nahin


ishq minnat-e-kash-e-qarār nahīñ
husn majbūr-e-intizār nahīñ

terī ranjish kī intihā ma.alūm
hasratoñ kā mirī shumār nahīñ

apnī nazreñ bikher de saaqī
mai ba-andāza-e-ḳhumār nahīñ

zer-e-lab hai abhī tabassum-e-dost
muntashir jalva-e-bahār nahīñ

apnī takmīl kar rahā huuñ maiñ
varna tujh se to mujh ko pyaar nahīñ

chāra-e-intizār kaun kare
terī nafrat bhī ustuvār nahīñ

'faiz' zinda raheñ vo haiñ to sahī
kyā huā gar vafā-shi.ār nahīñ

ishq minnat-e-kash-e-qarar nahin
husn majbur-e-intizar nahin

teri ranjish ki intiha malum
hasraton ka meri shumar nahin

apni nazren bikher de saqi
mai ba-andaza-e-KHumar nahin

zer-e-lab hai abhi tabassum-e-dost
muntashir jalwa-e-bahaar nahin

apni takmil kar raha hun main
warna tujh se to mujh ko pyar nahin

chaara-e-intizar kaun kare
teri nafrat bhi ustuwar nahin

'faiz' zinda rahen wo hain to sahi
kya hua gar wafa-shiar nahin

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Firoza Begum Iqbal Bano

Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 26) Publication : Educational Publishing House (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+