mujhe tum se mohabbat ho ga.ī hai
ġham-e-duniyā se fursat ho ga.ī hai
hamārā kaam hai motī luTānā
hameñ rone kī aadat ho ga.ī hai
jahāñ meñ qadr-o-qīmat mere ġham kī
tire ġham kī badaulat ho ga.ī hai
dil-e-shā.ir ke naġhmāt hasīñ se
tire jalvoñ kī shohrat ho ga.ī hai
kahāñ haiñ misr ke bāzār vaale
diloñ kī nisf qīmat ho ga.ī hai
nikalte haiñ mire ahbāb bach kar
mohabbat bhī siyāsat ho ga.ī hai
'jalīl' ab dil nahīñ miltā kisī se
ajiib apnī tabī.at ho ga.ī hai
mujhe tum se mohabbat ho gai hai
gham-e-duniya se fursat ho gai hai
hamara kaam hai moti luTana
hamein rone ki aadat ho gai hai
jahan mein qadr-o-qimat mere gham ki
tere gham ki badaulat ho gai hai
dil-e-shair ke naghmat hasin se
tere jalwon ki shohrat ho gai hai
kahan hain misr ke bazar wale
dilon ki nisf qimat ho gai hai
nikalte hain mere ahbab bach kar
mohabbat bhi siyasat ho gai hai
'jalil' ab dil nahin milta kisi se
ajib apni tabiat ho gai hai
Source: Lahoo Rang
Leave a comment