Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chitra Bhardwaj suman

  • Ghazal


jism-o-jaan par kisi jogi ka main saya dekhun


jism-o-jāñ par kisī jogī kā maiñ saaya dekhūñ
ishq kī taal pe jogan kā thiraknā dekhūñ

apne chehre pe terī āñkhoñ kā pahra dekhūñ
pyaas dariyā kā samundar meñ samānā dekhūñ

qatra qatra jo nasha ishq kā utrā mujh meñ
rafta rafta tirī sāñsoñ meñ utartā dekhūñ

pahle misra.a meñ tujhe bāñdh liyā hai maiñ ne
dūsre misra.a meñ ab ḳhud kā baserā dekhūñ

abr ban barse mere khet se guzrā hai abhī
mausam-e-āb meñ fasloñ ko jhulastā dekhūñ

chashm kī jhiil meñ vo aks utar jaa.e phir
shab to aadhī ho magar chāñd ko puurā dekhūñ

aarzū meñ tirī bal khaa.e chalī jā.ūñ 'suman'
jab kisī bel ko maiñ peḌ se lipTā dekhūñ

jism-o-jaan par kisi jogi ka main saya dekhun
ishq ki tal pe jogan ka thirakna dekhun

apne chehre pe teri aankhon ka pahra dekhun
pyas dariya ka samundar mein samana dekhun

qatra qatra jo nasha ishq ka utra mujh mein
rafta rafta teri sanson mein utarta dekhun

pahle misra mein tujhe bandh liya hai main ne
dusre misra mein ab KHud ka basera dekhun

abr ban barse mere khet se guzra hai abhi
mausam-e-ab mein faslon ko jhulasta dekhun

chashm ki jhil mein wo aks utar jae phir
shab to aadhi ho magar chand ko pura dekhun

aarzu mein teri bal khae chali jaun 'suman'
jab kisi bel ko main peD se lipTa dekhun


Leave a comment

+