Subscribe to our newsletter and get our newest updates

A G Josh

  • Ghazal


mumkin hai shab-e-hijr dua ka na asar ho


mumkin hai shab-e-hijr duā kā na asar ho
hai raat vo kyā raat ki jis kī na sahar ho

Thukrā ke chale jaanā hai bar-haq tumheñ lekin
bas rakhnā ḳhayāl itnā jahāñ ko na ḳhabar ho

vo shab jo sitāroñ se bharī ho to hameñ kyā
pahlū meñ agar tere mirī shab na basar ho

garjā hai baḌe zor se bādal zarā dekho
bijlī se girī jis pe kahīñ merā na ghar ho

jīvan hai safar 'josh' ye taslīm hai lekin
mahbūb kā ho saath to kyā ḳhuub safar ho

mumkin hai shab-e-hijr dua ka na asar ho
hai raat wo kya raat ki jis ki na sahar ho

Thukra ke chale jaana hai bar-haq tumhein lekin
bas rakhna KHayal itna jahan ko na KHabar ho

wo shab jo sitaron se bhari ho to hamein kya
pahlu mein agar tere meri shab na basar ho

garja hai baDe zor se baadal zara dekho
bijli se giri jis pe kahin mera na ghar ho

jiwan hai safar 'josh' ye taslim hai lekin
mahbub ka ho sath to kya KHub safar ho


Leave a comment

+