Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tabish Kamal

  • Ghazal


ajab yaqin sa us shaKHs ke guman mein tha


ajab yaqīn sā us shaḳhs ke gumān meñ thā
vo baat karte hue bhī na.ī uḌaan meñ thā

havā bharī huī phirtī thī ab ke sāhil par
kuchh aisā hausla kashtī ke bādbān meñ thā

hamāre bhīge hue par nahīñ khule varna
hameñ bulātā sitāra to āsmān meñ thā

utar gayā hai rag-o-pai meñ zā.iqa us kā
ajiib shahad sā kal raat us zabān meñ thā

khulī jo aañkh to 'tābish' kamāl ye dekhā
vo merī ruuh meñ thā aur maiñ makān meñ thā

ajab yaqin sa us shaKHs ke guman mein tha
wo baat karte hue bhi nai uDan mein tha

hawa bhari hui phirti thi ab ke sahil par
kuchh aisa hausla kashti ke baadban mein tha

hamare bhige hue par nahin khule warna
hamein bulata sitara to aasman mein tha

utar gaya hai rag-o-pai mein zaiqa us ka
ajib shahad sa kal raat us zaban mein tha

khuli jo aankh to 'tabish' kamal ye dekha
wo meri ruh mein tha aur main makan mein tha


Leave a comment

+