Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chakbast Brij Narayan

  • Ghazal


zaban ko band karen ya mujhe asir karen


zabāñ ko band kareñ yā mujhe asiir kareñ
mire ḳhayāl ko beḌī pinhā nahīñ sakte

ye kaisī bazm hai aur kaise us ke saaqī haiñ
sharāb haath meñ hai aur pilā nahīñ sakte

ye bekasī bhī ajab bekasī hai duniyā meñ
koī satā.e hameñ ham satā nahīñ sakte

kashish vafā kī unheñ khīñch laa.ī āḳhir-kār
ye thā raqīb ko da.avā vo aa nahīñ sakte

jo tū kahe to shikāyat kā zikr kam kar deñ
magar yaqīñ tire va.adoñ pe lā nahīñ sakte

charāġh qaum kā raushan hai arsh par dil ke
use havā ke farishte bujhā nahīñ sakte

zaban ko band karen ya mujhe asir karen
mere KHayal ko beDi pinha nahin sakte

ye kaisi bazm hai aur kaise us ke saqi hain
sharab hath mein hai aur pila nahin sakte

ye bekasi bhi ajab bekasi hai duniya mein
koi satae hamein hum sata nahin sakte

kashish wafa ki unhen khinch lai aaKHir-kar
ye tha raqib ko dawa wo aa nahin sakte

jo tu kahe to shikayat ka zikr kam kar den
magar yaqin tere wadon pe la nahin sakte

charagh qaum ka raushan hai arsh par dil ke
use hawa ke farishte bujha nahin sakte


Source: rooh-e-chakbast

Leave a comment

+