ik tū hī barbād nahīñ
koī yahāñ ābād nahīñ
merā dukh hai maiñ jānūñ
tujh se to fariyād nahīñ
ġham kī maarī duniyā meñ
kaun hai jo nāshād nahīñ
sab haiñ us ke qabze meñ
koī yahāñ āzād nahīñ
Dar mat ai panchhī mujh se
sāthī huuñ sayyād nahīñ
ek tu hi barbaad nahin
koi yahan aabaad nahin
mera dukh hai main jaanun
tujh se to fariyaad nahin
gham ki mari duniya mein
kaun hai jo nashad nahin
sab hain us ke qabze mein
koi yahan aazad nahin
Dar mat ai panchhi mujh se
sathi hun sayyaad nahin
Source: Seep Samundar Moti
Leave a comment