Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghalib Ahmad

  • Ghazal


zanjir mein hain dair-o-haram kaun-o-makan bhi


zanjīr meñ haiñ dair-o-haram kaun-o-makāñ bhī
hai ishq hameñ un se nahīñ jin kā gumāñ bhī

jo jism ke zarroñ meñ ḳhudā DhūñD rahī hai
yūsuf kī zuleḳhā meñ hai vo rūh-e-tapāñ bhī

is mohr-e-ḳhamoshī meñ nihāñ rūh-e-takallum
is so.e hue shahr kī hai apnī zabāñ bhī

har lahr ke siine se lipaTtā hai mirā dil
mañjdhār ke is paar ho sāhil kā nishāñ bhī

kyoñ vaqt kī lahreñ mujhe le jaa.eñ kisī or
daa.im dil-e-dariyā huuñ maiñ maujoñ meñ ravāñ bhī

ham ziist kī sarhad pe mile maut se lekin
hai dasht-e-talab bhī vahī aur manzil-e-jāñ bhī

zanjir mein hain dair-o-haram kaun-o-makan bhi
hai ishq hamein un se nahin jin ka guman bhi

jo jism ke zarron mein KHuda DhunD rahi hai
yusuf ki zuleKHa mein hai wo ruh-e-tapan bhi

is mohr-e-KHamoshi mein nihan ruh-e-takallum
is soe hue shahr ki hai apni zaban bhi

har lahr ke sine se lipaTta hai mera dil
manjdhaar ke is par ho sahil ka nishan bhi

kyon waqt ki lahren mujhe le jaen kisi or
daim dil-e-dariya hun main maujon mein rawan bhi

hum zist ki sarhad pe mile maut se lekin
hai dasht-e-talab bhi wahi aur manzil-e-jaan bhi


Source:

Leave a comment

+