mujhe be-ḳhānmā kar ke pashemāñ vo na yuuñ hotā
agar merī tabāhī se use hāsil sukūñ hotā
mujhe āsūdgī baḳhshī thī merī ḳhasta-hālī ne
mire hoñToñ pe kyoñ kar shikva-e-hāl-e-zubūñ hotā
dar-e-mun.im pe jhuk kar sarfarāzī hotī jo hāsil
maiñ aisī sarfarāzī ke liye kyoñ sar-nigūñ hotā
ḳhirad ke sāmne hotī na rusvā.ī kabhī us kī
agar josh-e-junūñ vāqif ba-ādāb-e-junūñ hotā
vahī ho ke rahā āḳhir jo honā thā mire haq meñ
ab is par rañj kyā karnā ki yuuñ hotā na yuuñ hotā
agar maiñ sāhir-e-fan hotā apne ahd kā sābir
asar-andāz logoñ par mire fan kā fusūñ hotā
mujhe be-KHanma kar ke pasheman wo na yun hota
agar meri tabahi se use hasil sukun hota
mujhe aasudgi baKHshi thi meri KHasta-haali ne
mere honTon pe kyon kar shikwa-e-haal-e-zubun hota
dar-e-munim pe jhuk kar sarfaraazi hoti jo hasil
main aisi sarfaraazi ke liye kyon sar-nigun hota
KHirad ke samne hoti na ruswai kabhi us ki
agar josh-e-junun waqif ba-adab-e-junun hota
wahi ho ke raha aaKHir jo hona tha mere haq mein
ab is par ranj kya karna ki yun hota na yun hota
agar main sahir-e-fan hota apne ahd ka sabir
asar-andaz logon par mere fan ka fusun hota
Source:
Leave a comment