Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahshar Badayuni

  • Ghazal


waqti ye hisab-e-zulm kab hai


vaqtī ye hisāb-e-zulm kab hai
tārīḳh ke hāfize meñ sab hai

ham pahle bhī kam dukhī nahīñ the
ye haal kabhī na thā jo ab hai

jānoñ ko lagā shadīd āzār
sañgīn hī kuchh is kā sabab hai

vo rut hai na ab vo ham-navā haiñ
ab nauha-e-ḳhū-garī hī kār-e-lab hai

ehsās ke band TūTte haiñ
lekin ye shikastagī ajab hai

dil jaltā hai kuchh khule bhī āḳhir
kab tak ye tamāzat-e-ġhazab hai

kyā maut hī ab hai chāra-e-jāñ
har lamha-e-umr ḳhūñ-talab hai

waqti ye hisab-e-zulm kab hai
tariKH ke hafize mein sab hai

hum pahle bhi kam dukhi nahin the
ye haal kabhi na tha jo ab hai

jaanon ko laga shadid aazar
sangin hi kuchh is ka sabab hai

wo rut hai na ab wo ham-nawa hain
ab nauha-e-KHu-gari hi kar-e-lab hai

ehsas ke band TuTte hain
lekin ye shikastagi ajab hai

dil jalta hai kuchh khule bhi aaKHir
kab tak ye tamazat-e-ghazab hai

kya maut hi ab hai chaara-e-jaan
har lamha-e-umr KHun-talab hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+