kyā kahūñ vo kidhar nahīñ rahtā
haañ magar is nagar nahīñ rahtā
tū ho terā ḳhayāl ho yā ḳhvāb
koī bhī raat bhar nahīñ rahtā
jab sukūñ hī na de sake to phir
ghar kisī taur ghar nahīñ rahtā
jis ghaḌī chāho tum chale aao
maiñ koī chāñd par nahīñ rahtā
yuuñ to apnī bhī justujū hai mujhe
tujh se bhī be-ḳhabar nahīñ rahtā
dil-figāroñ ke shahr meñ 'tābish'
ek bhī baḳhiya-gar nahīñ rahtā
kya kahun wo kidhar nahin rahta
han magar is nagar nahin rahta
tu ho tera KHayal ho ya KHwab
koi bhi raat bhar nahin rahta
jab sukun hi na de sake to phir
ghar kisi taur ghar nahin rahta
jis ghaDi chaho tum chale aao
main koi chand par nahin rahta
yun to apni bhi justuju hai mujhe
tujh se bhi be-KHabar nahin rahta
dil-figaron ke shahr mein 'tabish'
ek bhi baKHiya-gar nahin rahta
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 388) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment