Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Baluch

  • Ghazal


wo shaKHs meri rasai se mawara bhi na tha


vo shaḳhs merī rasā.ī se māvarā bhī na thā
bashar bhī ḳhair na hogā magar ḳhudā bhī na thā

kahā shu.ūr ne us vaqt harf-e-qum mujh se
ki lā-shu.ūr jagāne se jāgtā bhī na thā

ajab thī sā.at-e-āġhāz-e-gulsitāñ-bandī
naved-e-gul bhī na thī muzhda-e-sabā bhī na thā

vo ibtidā-e-safar ab bhī yaad aatī hai
kisī meñ merī rifāqat kā hausla bhī na thā

ġhalat-numā-o-ġhalat-bīñ haiñ ba.az ā.īne
is e'tirāz ko naqqād māntā bhī na thā

shahīd-e-zauq-e-taġhazzul thā kam-suḳhan 'ja.afar'
ġhazal kī baat na chaltī to boltā bhī na thā

wo shaKHs meri rasai se mawara bhi na tha
bashar bhi KHair na hoga magar KHuda bhi na tha

kaha shuur ne us waqt harf-e-qum mujh se
ki la-shuur jagane se jagta bhi na tha

ajab thi saat-e-aghaz-e-gulsitan-bandi
nawed-e-gul bhi na thi muzhda-e-saba bhi na tha

wo ibtida-e-safar ab bhi yaad aati hai
kisi mein meri rifaqat ka hausla bhi na tha

ghalat-numa-o-ghalat-bin hain baz aaine
is e'tiraaz ko naqqad manta bhi na tha

shahid-e-zauq-e-taghazzul tha kam-suKHan 'jafar'
ghazal ki baat na chalti to bolta bhi na tha


Source: Book : Aqleem (Pg. 40) Author : Jafar Baloch Publication : Maktaba aalia, Urdu Bazar Lahore (1986) Edition : 1986

Leave a comment

+