Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Dehlvi

  • Ghazal


talKH shikwe lab-e-shirin se maza dete hain


talḳh shikve lab-e-shīrīñ se mazā dete haiñ
ghol kar shahd meñ vo zahr pilā dete haiñ

yuuñ to hote haiñ mohabbat meñ junūñ ke āsār
aur kuchh log bhī dīvāna banā dete haiñ

parda uTThe ki na uTThe magar ai parda-nashīñ
aaj ham rasm-e-takalluf ko uThā dete haiñ

aate jaate nahīñ kambaḳht payāmī un tak
jhūTe sachche yūñhī paiġhām sunā dete haiñ

vaa.e taqdīr ki vo ḳhat mujhe likh likh ke 'zahīr'
merī taqdīr ke likkhe ko miTā dete haiñ

talKH shikwe lab-e-shirin se maza dete hain
ghol kar shahd mein wo zahr pila dete hain

yun to hote hain mohabbat mein junun ke aasar
aur kuchh log bhi diwana bana dete hain

parda uTThe ki na uTThe magar ai parda-nashin
aaj hum rasm-e-takalluf ko uTha dete hain

aate jate nahin kambaKHt payami un tak
jhuTe sachche yunhi paigham suna dete hain

wae taqdir ki wo KHat mujhe likh likh ke 'zahir'
meri taqdir ke likkhe ko miTa dete hain


Source: Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 199) Author : فرحت احساس Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)

Leave a comment

+