Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jalandhari

  • Ghazal


ai dost miT gaya hun fana ho gaya hun main


ai dost miT gayā huuñ fanā ho gayā huuñ maiñ
is daur-e-dostī kī davā ho gayā huuñ maiñ

qaa.em kiyā hai maiñ ne adam ke vajūd ko
duniyā samajh rahī hai fanā ho gayā huuñ maiñ

himmat buland thī magar uftād dekhnā
chup-chāp aaj mahv-e-duā ho gayā huuñ maiñ

ye zindagī fareb-e-musalsal na ho kahīñ
shāyad asīr-e-dām-e-balā ho gayā huuñ maiñ

haañ kaif-e-be-ḳhudī kī vo saa.at bhī yaad hai
mahsūs kar rahā thā ḳhudā ho gayā huuñ maiñ

ai dost miT gaya hun fana ho gaya hun main
is daur-e-dosti ki dawa ho gaya hun main

qaem kiya hai main ne adam ke wajud ko
duniya samajh rahi hai fana ho gaya hun main

himmat buland thi magar uftad dekhna
chup-chap aaj mahw-e-dua ho gaya hun main

ye zindagi fareb-e-musalsal na ho kahin
shayad asir-e-dam-e-bala ho gaya hun main

han kaif-e-be-KHudi ki wo saat bhi yaad hai
mahsus kar raha tha KHuda ho gaya hun main


Source: Book : Junoon (Pg. 95) Author : Naseem Muqri Publication : Naseem Muqri (1990) Edition : 1990

Leave a comment

+