pilā saaqī bahār aa.e na aa.e
ghaTā phir baar baar aa.e na aa.e
tujhe ham dekhne ā.eñge sau baar
koī dīvāna-vār aa.e na aa.e
kahe jā.eñge dard-e-dil ham apnā
kisī ko e'tibār aa.e na aa.e
vo aa jaa.eñ idhar khole hue baal
nasīm mushk-bār aa.e na aa.e
tumheñ ārām se sonā mubārak
mujhe shab bhar qarār aa.e na aa.e
havā-e-shauq meñ ab uḌ chale ham
havā-e-kū-e-yār aa.e na aa.e
tire dil meñ masarrat ke khileñ phuul
mire dil meñ bahār aa.e na aa.e
'jalīl' ab mai-kashī kā lutf uThāo
phir abr-e-nau-bahār aa.e na aa.e
pila saqi bahaar aae na aae
ghaTa phir bar bar aae na aae
tujhe hum dekhne aaenge sau bar
koi diwana-war aae na aae
kahe jaenge dard-e-dil hum apna
kisi ko e'tibar aae na aae
wo aa jaen idhar khole hue baal
nasim mushk-bar aae na aae
tumhein aaram se sona mubarak
mujhe shab bhar qarar aae na aae
hawa-e-shauq mein ab uD chale hum
hawa-e-ku-e-yar aae na aae
tere dil mein masarrat ke khilen phul
mere dil mein bahaar aae na aae
'jalil' ab mai-kashi ka lutf uThao
phir abr-e-nau-bahaar aae na aae
Source: Book : Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 339)
Leave a comment