Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameel Malik

  • Ghazal


jo KHayal aaya tumhaari yaad mein Dhalta raha


jo ḳhayāl aayā tumhārī yaad meñ Dhaltā rahā
dil charāġh-e-shām ban kar sub.h tak jaltā rahā

ham kahāñ rukte ki sadiyoñ kā safar darpesh thā
ghanTiyāñ bajtī raheñ aur kārvāñ chaltā rahā

kitne lamhoñ ke patañge aa.e aa kar jal-bujhe
meñ charāġh-e-zindagī thā tā-abad jaltā rahā

husn kī tābāniyāñ merā muqaddar ban ga.iiñ
chāñd meñ chamkā kabhī ḳhurshīd meñ Dhaltā rahā

jaane kyā guzrī ki farzāne bhī dīvāne hue
maiñ to shā.er thā ḳhud apnī aag meñ jaltā rahā

jo KHayal aaya tumhaari yaad mein Dhalta raha
dil charagh-e-sham ban kar subh tak jalta raha

hum kahan rukte ki sadiyon ka safar darpesh tha
ghanTiyan bajti rahen aur karwan chalta raha

kitne lamhon ke patange aae aa kar jal-bujhe
mein charagh-e-zindagi tha ta-abad jalta raha

husn ki tabaniyan mera muqaddar ban gain
chand mein chamka kabhi KHurshid mein Dhalta raha

jaane kya guzri ki farzane bhi diwane hue
main to shaer tha KHud apni aag mein jalta raha


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+