Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Danish

  • Ghazal


rumuz-e-be-KHudi samjhe na asrar-e-KHudi samjhe


rumūz-e-be-ḳhudī samjhe na asrār-e-ḳhudī samjhe
baḌī shai hai agar apnī haqīqat aadmī samjhe

ziyā andar ziyā tanvīr dar tanvīr zau dar zau
koī āḳhir kahāñ tak rāz-hā-e-zindagī

nahīñ haTtī nazar anjām-e-ālam se nahīñ haTtī
use koī ḳhudī gardān le yā be-ḳhudī samjhe

bahut mushkil hai is me.aar kī rindī zamāne meñ
jo laġhzish ko gunah aur be-ḳhudī ko zindagī samjhe

jab ehsās-e-bulandī past kar detā hai fitrat ko
ye mushkil hai phir insāñ aadmī ko aadmī samjhe

junūñ ik manzil-e-be-nām ko tai kartā jaatā hai
kise fursat hai jo sūd-o-ziyān-e-zindagī samjhe

hameñ to muddatoñ se justujū hai aise insāñ kī
hamārī zindagī ko bhī jo apnī zindagī samjhe

jalā paatī hai is se ruuh dil bedār hotā hai
baḌī muddat meñ ham 'ehsān' qadr-e-muflisī samjhe

rumuz-e-be-KHudi samjhe na asrar-e-KHudi samjhe
baDi shai hai agar apni haqiqat aadmi samjhe

ziya andar ziya tanwir dar tanwir zau dar zau
koi aaKHir kahan tak raaz-ha-e-zindagi

nahin haTti nazar anjam-e-alam se nahin haTti
use koi KHudi gardan le ya be-KHudi samjhe

bahut mushkil hai is mear ki rindi zamane mein
jo laghzish ko gunah aur be-KHudi ko zindagi samjhe

jab ehsas-e-bulandi past kar deta hai fitrat ko
ye mushkil hai phir insan aadmi ko aadmi samjhe

junun ek manzil-e-be-nam ko tai karta jata hai
kise fursat hai jo sud-o-ziyan-e-zindagi samjhe

hamein to muddaton se justuju hai aise insan ki
hamari zindagi ko bhi jo apni zindagi samjhe

jala pati hai is se ruh dil bedar hota hai
baDi muddat mein hum 'ehsan' qadr-e-muflisi samjhe


Source: Book : Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 304) Author : Shabnam Parveen Publication : Asghar Publishers (2006) Edition : 2006

Leave a comment

+