Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Owais Ahmad Dauran

  • Ghazal


pahle ghire the be-KHabron ke hujum mein


pahle ghire the be-ḳhabroñ ke hujūm meñ
ab aa ga.e haiñ dīda-varoñ ke hujūm meñ

kuchh bhī nahīñ hai uḌtī huī raakh ke sivā
kyā DhūñDte ho kam-nazroñ ke hujūm meñ

shahroñ meñ ā.inoñ ke ḳharīdār hī nahīñ
ik be-kalī hai shīsha-garoñ ke hujūm meñ

pahchān liije kaun hai insāñ kā rahnumā
in be-shumār rāhbaroñ ke hujūm meñ

paivand kī tarah nazar aatā hai bad-numā
puḳhta makān kachche gharoñ ke hujūm meñ

tesha-ba-dast har koī rahtā hai raat din
ham dil-jaloñ ke be-jigaroñ ke hujūm meñ

'daurāñ' bhī ehtijāj hī karte hue mile
saḌkoñ pe gasht karte saroñ ke hujūm meñ

pahle ghire the be-KHabron ke hujum mein
ab aa gae hain dida-waron ke hujum mein

kuchh bhi nahin hai uDti hui rakh ke siwa
kya DhunDte ho kam-nazron ke hujum mein

shahron mein aainon ke KHaridar hi nahin
ek be-kali hai shisha-garon ke hujum mein

pahchan lije kaun hai insan ka rahnuma
in be-shumar rahbaron ke hujum mein

paiwand ki tarah nazar aata hai bad-numa
puKHta makan kachche gharon ke hujum mein

tesha-ba-dast har koi rahta hai raat din
hum dil-jalon ke be-jigaron ke hujum mein

'dauran' bhi ehtijaj hi karte hue mile
saDkon pe gasht karte saron ke hujum mein


Source: Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 240) Author : Owais Ahmad Dauran Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974) Edition : 1974

Leave a comment

+