Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Babar Rahman Shah

  • Ghazal


nahin nahin ye mera aks ho nahin sakta


nahīñ nahīñ ye mirā aks ho nahīñ saktā
kisī ke sāmne meñ yuuñ to ro nahīñ saktā

thakan se chuur hai saarā vajūd ab merā
maiñ bojh itne ġhamoñ kā to Dho nahīñ saktā

tujhe ġhazal to sunātā huuñ aaj 'bābar' kī
magar maiñ ashkoñ se dāman bhigo nahīñ saktā

nahin nahin ye mera aks ho nahin sakta
kisi ke samne mein yun to ro nahin sakta

thakan se chur hai sara wajud ab mera
main bojh itne ghamon ka to Dho nahin sakta

tujhe ghazal to sunata hun aaj 'babar' ki
magar main ashkon se daman bhigo nahin sakta


Leave a comment

+