Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Siddiqi

  • Ghazal


apne baad haqiqat ya afsana chhoDa tha


apne ba.ad haqīqat yā afsāna chhoḌā thā
phuul khile the maiñ ne jab vīrāna chhoḌā thā

saañs ghuTī jaatī thī kaisā habs kā aalam thā
yaad hai jis din sabze ne lahrānā chhoḌā thā

aañsū gire to ḳhāk-e-badan se ḳhushbū phūTī thī
meñh barsā to mausam ne garmānā chhoḌā thā

mere alāva kis ko ḳhabar hai lekin maiñ chup huuñ
sāhil se kyuuñ maujoñ ne Takrānā chhoḌā thā

maiñ pahle be-bāk huā thā josh-e-mohabbat meñ
merī tarah phir us ne bhī sharmānā chhoḌā thā

apne baad haqiqat ya afsana chhoDa tha
phul khile the main ne jab virana chhoDa tha

sans ghuTi jati thi kaisa habs ka aalam tha
yaad hai jis din sabze ne lahrana chhoDa tha

aansu gire to KHak-e-badan se KHushbu phuTi thi
meinh barsa to mausam ne garmana chhoDa tha

mere alawa kis ko KHabar hai lekin main chup hun
sahil se kyun maujon ne Takrana chhoDa tha

main pahle be-bak hua tha josh-e-mohabbat mein
meri tarah phir us ne bhi sharmana chhoDa tha


Source: Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 194)

Leave a comment

+