Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Bhabha

  • Ghazal


haalat-e-haal mein aadab nahin bhulta main


hālat-e-hāl meñ ādāb nahīñ bhūltā maiñ
ḳhud ko bhūlūñ bhī to ahbāb nahīñ bhūltā maiñ

maiñ abhī ishq nahīñ hālat-e-īmān meñ huuñ
jañg karte hue asbāb nahīñ bhūltā maiñ

jazb kartī huī ḳhilqat se mohabbat hai mujhe
chāñd ko chhoḌiye tālāb nahīñ bhūltā maiñ

ai mujhe ḳhvāb dikhāte hue logo sun lo
merā dukh ye hai koī ḳhvāb nahīñ bhūltā maiñ

pārsā.ī nahīñ tanhā.ī mayassar thī vahāñ
so tire mimbar-o-mehrāb nahīñ bhūltā maiñ

haalat-e-haal mein aadab nahin bhulta main
KHud ko bhulun bhi to ahbab nahin bhulta main

main abhi ishq nahin haalat-e-iman mein hun
jang karte hue asbab nahin bhulta main

jazb karti hui KHilqat se mohabbat hai mujhe
chand ko chhoDiye talab nahin bhulta main

ai mujhe KHwab dikhate hue logo sun lo
mera dukh ye hai koi KHwab nahin bhulta main

parsai nahin tanhai mayassar thi wahan
so tere mimbar-o-mehrab nahin bhulta main


Leave a comment

+