Warning: session_start(): open(/tmp/sess_om1rn731rmr097tru2j82mnul2, O_RDWR) failed: No space left on device (28) in /razi/eraazi/darbari/chunmun/index.php on line 15
ajib log the wo titliyan banate the

Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Liaqat Jafri

  • Ghazal


ajib log the wo titliyan banate the


ajiib log the vo titliyāñ banāte the
samundaroñ ke liye sīpiyāñ banāte the

vahī banāte the lohe ko toḌ kar taalā
phir us ke ba.ad vahī chābiyāñ banāte the

mere qabīle meñ ta.alīm kā rivāj na thā
mire buzurg magar taḳhtiyāñ banāte the

fuzūl vaqt meñ vo saare shīshagar mil kar
suhāganoñ ke liye chūḌiyāñ banāte the

ajib log the wo titliyan banate the
samundaron ke liye sipiyan banate the

wahi banate the lohe ko toD kar tala
phir us ke baad wahi chabiyan banate the

mere qabile mein talim ka riwaj na tha
mere buzurg magar taKHtiyan banate the

fuzul waqt mein wo sare shishagar mil kar
suhaganon ke liye chuDiyan banate the


Leave a comment

+