Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dushyant Kumar

  • Ghazal


aaj viran apna ghar dekha


aaj vīrān apnā ghar dekhā
to ka.ī baar jhāñk kar dekhā

paañv TuuTe hue nazar aa.e
ek Thahrā huā khañDar dekhā

rāsta kaaT kar ga.ī billī
pyaar se rāsta agar dekhā

nāliyoñ meñ hayāt dekhī hai
gāliyoñ meñ baḌā asar dekhā

us parinde ko choT aa.ī to
aap ne ek ek par dekhā

ham khaḌe the ki ye zamīñ hogī
chal paḌī to idhar udhar dekhā

aaj viran apna ghar dekha
to kai bar jhank kar dekha

panw TuTe hue nazar aae
ek Thahra hua khanDar dekha

rasta kaT kar gai billi
pyar se rasta agar dekha

naliyon mein hayat dekhi hai
galiyon mein baDa asar dekha

us parinde ko choT aai to
aap ne ek ek par dekha

hum khaDe the ki ye zamin hogi
chal paDi to idhar udhar dekha


Source: Book : Saye mein dhoop (Pg. 36) Author : Dushyant Kumar Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011) Edition : 2011

Leave a comment

+