tū nahīñ to zindagī meñ aur kyā rah jā.egā
duur tak tanhā.iyoñ kā silsila rah jā.egā
kījiye kyā guftugū kyā un se mil kar sochiye
dil-shikasta ḳhvāhishoñ kā zā.iqa rah jā.egā
dard kī saarī taheñ aur saare guzre hādse
sab dhuāñ ho jā.eñge ik vāqi.a rah jā.egā
ye bhī hogā vo mujhe dil se bhulā degā magar
yuuñ bhī hogā ḳhud usī meñ ik ḳhalā rah jā.egā
dā.ere inkār ke iqrār kī sargoshiyāñ
ye agar TuuTe kabhī to fāsla rah jā.egā
tu nahin to zindagi mein aur kya rah jaega
dur tak tanhaiyon ka silsila rah jaega
kijiye kya guftugu kya un se mil kar sochiye
dil-shikasta KHwahishon ka zaiqa rah jaega
dard ki sari tahen aur sare guzre hadse
sab dhuan ho jaenge ek waqia rah jaega
ye bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
yun bhi hoga KHud usi mein ek KHala rah jaega
daere inkar ke iqrar ki sargoshiyan
ye agar TuTe kabhi to fasla rah jaega
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Chitra Singh
Source: Book : Junoon (Pg. 114) Author : Naseem Muqri Publication : Naseem Muqri (1990) Edition : 1990
Leave a comment