Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Laiq Aajiz

  • Ghazal


us husn-e-be-niyaz ke kuchh martabe the aur


us husn-e-be-niyāz ke kuchh martabe the aur
merī udaas rātoñ ke bujhte diye the aur

zaḳhmoñ ko nok-e-ḳhār kī lazzat pasand thī
vaise tumhāre ghar ke ka.ī rāste the aur

maiñ hī nahīñ thā khokhle peḌoñ ke darmiyāñ
mujh jaise nā-shanās vahāñ par khaḌe the aur

is se bichhaḌ ke rone kī fursat nahīñ milī
qirtās-e-zindagī pe ka.ī ġham likhe the aur

dāman meñ jo guhar haiñ natīje haiñ ishq ke
pahle jo mere paas the vo aa.ine the aur

saaqī bachā lī aabrū tū ne ḳhud apnī aaj
varna mirī manzar meñ ka.ī mai-kade the aur

jis ke ik ek misre meñ rahtā thā us kā zikr
'ājiz' vo sher aur the vo qāfiye the aur

us husn-e-be-niyaz ke kuchh martabe the aur
meri udas raaton ke bujhte diye the aur

zaKHmon ko nok-e-KHar ki lazzat pasand thi
waise tumhaare ghar ke kai raste the aur

main hi nahin tha khokhle peDon ke darmiyan
mujh jaise na-shanas wahan par khaDe the aur

is se bichhaD ke rone ki fursat nahin mili
qirtas-e-zindagi pe kai gham likhe the aur

daman mein jo guhar hain natije hain ishq ke
pahle jo mere pas the wo aaine the aur

saqi bacha li aabru tu ne KHud apni aaj
warna meri manzar mein kai mai-kade the aur

jis ke ek ek misre mein rahta tha us ka zikr
'ajiz' wo sher aur the wo qafiye the aur


Leave a comment

+