Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Sahni

  • Ghazal


dil mein baiTha tha ek Dar shayad


dil meñ baiThā thā ek Dar shāyad
aaj bhī hai vo ham-safar shāyad

haath patthar se ho ga.e ḳhālī
peḌ par hai nahīñ samar shāyad

DhūñDhtā thā vajūd apnā vo
thā idhar ab gayā udhar shāyad

surḳhiyāñ ug rahī haiñ dāman par
ho gayā haath ḳhuuñ se tar shāyad

phuul ulfat ke khil rahe hoñ jahāñ
hogā aisā bhī ik nagar shāyad

bekalī baḌh ga.ī hai dariyā kī
kah gayā jhuk ke kuchh shajar shāyad

dard kā ho gayā hai maskan vo
log kahte haiñ jis ko ghar shāyad

mil ke un se ḳhushī huī mujh ko
vo bhī hoñge to ḳhush magar shāyad

rote rote hañsī mirī ḳhvāhish
mil ga.ī ik na.ī ḳhabar shāyad

din kā kaTnā muhāl hai to sahī
raat ho jā.egī basar shāyad

aag paanī meñ jo lagātā hai
vo bhī hogā koī bashar shāyad

sehn-e-dil se ḳhushī nahīñ guzrī
rāsta thā vo pur-ḳhatar shāyad

dhuup ke ghar ghaTā ga.ī 'ja.afar'
ḳhushk karne ko bāl-o-par shāyad

dil mein baiTha tha ek Dar shayad
aaj bhi hai wo ham-safar shayad

hath patthar se ho gae KHali
peD par hai nahin samar shayad

DhunDhta tha wajud apna wo
tha idhar ab gaya udhar shayad

surKHiyan ug rahi hain daman par
ho gaya hath KHun se tar shayad

phul ulfat ke khil rahe hon jahan
hoga aisa bhi ek nagar shayad

bekali baDh gai hai dariya ki
kah gaya jhuk ke kuchh shajar shayad

dard ka ho gaya hai maskan wo
log kahte hain jis ko ghar shayad

mil ke un se KHushi hui mujh ko
wo bhi honge to KHush magar shayad

rote rote hansi meri KHwahish
mil gai ek nai KHabar shayad

din ka kaTna muhaal hai to sahi
raat ho jaegi basar shayad

aag pani mein jo lagata hai
wo bhi hoga koi bashar shayad

sehn-e-dil se KHushi nahin guzri
rasta tha wo pur-KHatar shayad

dhup ke ghar ghaTa gai 'jafar'
KHushk karne ko baal-o-par shayad


Leave a comment

+