Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faheem Shanas Kazmi

  • Ghazal


lahu ki lahr mein ek KHwab-e-dil-shikan bhi gaya


lahū kī lahr meñ ik ḳhvāb-e-dil-shikan bhī gayā
phir us ke saath hī āñkheñ ga.iiñ badan bhī gayā

badalte vaqt ne badle mizāj bhī kaise
tirī adā bhī ga.ī merā bāñkpan bhī gayā

bas ek baar vo aayā thā sair karne ko
phir us ke saath hī ḳhushbū ga.ī chaman bhī gayā

bas ik ta.alluq be-nām TūTne ke ba.ad
suḳhan tamām huā rishta-e-suḳhan bhī gayā

lahu ki lahr mein ek KHwab-e-dil-shikan bhi gaya
phir us ke sath hi aankhen gain badan bhi gaya

badalte waqt ne badle mizaj bhi kaise
teri ada bhi gai mera bankpan bhi gaya

bas ek bar wo aaya tha sair karne ko
phir us ke sath hi KHushbu gai chaman bhi gaya

bas ek talluq be-nam TuTne ke baad
suKHan tamam hua rishta-e-suKHan bhi gaya


Leave a comment

+