vo ḳhvāb jaisā thā goyā sarāb lagtā thā
hasīn aisā ki faḳhr-e-gulāb lagtā thā
halīm aisā ki dīvānī ek duniyā thī
ki us se haath milānā savāb lagtā thā
nibhānā rishtoñ kā nāzuk kaThin amal niklā
jo dekhne meñ to sīdhā hisāb lagtā thā
surāhī-dār thī gardan nasha bhare aariz
sarāpā us kā mujassam sharāb lagtā thā
vo boltā to fazā naġhmagī meñ rach jaatī
gale meñ ho koī us ke rabāb lagtā thā
kahānī ek na.ī detī hoñT kī jumbish
vo lab jo kholtā goyā kitāb lagtā thā
vo shaḳhs aaj gurezāñ hai saa.e se mere
jise pasīna bhī merā gulāb lagtā thā
amal meñ fe.al meñ us ke tazād thā 'muftī'
agarche dil meñ utartā ḳhitāb lagtā thā
wo KHwab jaisa tha goya sarab lagta tha
hasin aisa ki faKHr-e-gulab lagta tha
halim aisa ki diwani ek duniya thi
ki us se hath milana sawab lagta tha
nibhana rishton ka nazuk kaThin amal nikla
jo dekhne mein to sidha hisab lagta tha
surahi-dar thi gardan nasha bhare aariz
sarapa us ka mujassam sharab lagta tha
wo bolta to faza naghmagi mein rach jati
gale mein ho koi us ke rabab lagta tha
kahani ek nai deti honT ki jumbish
wo lab jo kholta goya kitab lagta tha
wo shaKHs aaj gurezan hai sae se mere
jise pasina bhi mera gulab lagta tha
amal mein feal mein us ke tazad tha 'mufti'
agarche dil mein utarta KHitab lagta tha
Leave a comment