Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaami Shah

  • Ghazal


waise tum achchhi laDki ho


vaise tum achchhī laḌkī ho
lekin merī kyā lagtī ho

maiñ apne dil kī kahtā huuñ
tum apne dil kī suntī ho

jhīloñ jaisī āñkhoñ vaalī
tum behad gahrī lagtī ho

mauj-e-badan meñ rañg haiñ itne
lagtā hai rañgoñ se bantī ho

phuul hue haiñ aise raushan
jaise in meñ tum hañstī ho

jañgal haiñ aur baaġh haiñ mujh meñ
tum in se miltī-jultī ho

yuuñ to bashar-zādī ho lekin
ḳhushbū jaisī kyuuñ lagtī ho

aksar sochtā rahtā huuñ maiñ
ḳhalvat meñ tum kyā kartī ho

vo qarya ābād hamesha
jis qarye meñ tum rahtī ho

waise tum achchhi laDki ho
lekin meri kya lagti ho

main apne dil ki kahta hun
tum apne dil ki sunti ho

jhilon jaisi aankhon wali
tum behad gahri lagti ho

mauj-e-badan mein rang hain itne
lagta hai rangon se banti ho

phul hue hain aise raushan
jaise in mein tum hansti ho

jangal hain aur bagh hain mujh mein
tum in se milti-julti ho

yun to bashar-zadi ho lekin
KHushbu jaisi kyun lagti ho

aksar sochta rahta hun main
KHalwat mein tum kya karti ho

wo qarya aabaad hamesha
jis qarye mein tum rahti ho


Leave a comment

+