vo jitnī ḳhud-numā.ī kar rahā hai
ḳhud apnī jag-hañsā.ī kar rahā hai
zarā sā josh kyā dariyā meñ aayā
samundar kī burā.ī kar rahā hai
zarā ham ne zabāñ kyā band kar lī
zamāna lab-kushā.ī kar rahā hai
wo jitni KHud-numai kar raha hai
KHud apni jag-hansai kar raha hai
zara sa josh kya dariya mein aaya
samundar ki burai kar raha hai
zara hum ne zaban kya band kar li
zamana lab-kushai kar raha hai
Leave a comment