Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


TuT jaane mein khilaunon ki tarah hota hai


TuuT jaane meñ khilaunoñ kī tarah hotā hai
aadmī ishq meñ bachchoñ kī tarah hotā hai

is liye mujh ko pasand aatā hai sahrā kā sukūt
is kā nashsha tirī bātoñ kī tarah hotā hai

ham jise ishq meñ dete haiñ ḳhudā kā mansab
pahle pahle hameñ logoñ kī tarah hotā hai

jis se banñā ho ta.alluq vahī zālim pahle
ġhair hotā hai na apnoñ kī tarah hotā hai

chāñdnī-rāt meñ saḌkoñ pe qadam mat rakhnā
shahr jaage hue nāgoñ kī tarah hotā hai

bas yahī dekhne ko jāgte haiñ shahr ke log
āsmāñ kab tirī āñkhoñ kī tarah hotā hai

us se kahnā ki vo sāvan meñ na ghar se nikle
hāfiza ishq kā sāñpoñ kī tarah hotā hai

us kī āñkhoñ meñ umaD aate haiñ aañsū 'tābish'
vo judā chāhne vāloñ kī tarah hotā hai

TuT jaane mein khilaunon ki tarah hota hai
aadmi ishq mein bachchon ki tarah hota hai

is liye mujh ko pasand aata hai sahra ka sukut
is ka nashsha teri baaton ki tarah hota hai

hum jise ishq mein dete hain KHuda ka mansab
pahle pahle hamein logon ki tarah hota hai

jis se banna ho talluq wahi zalim pahle
ghair hota hai na apnon ki tarah hota hai

chandni-raat mein saDkon pe qadam mat rakhna
shahr jage hue nagon ki tarah hota hai

bas yahi dekhne ko jagte hain shahr ke log
aasman kab teri aankhon ki tarah hota hai

us se kahna ki wo sawan mein na ghar se nikle
hafiza ishq ka sanpon ki tarah hota hai

us ki aankhon mein umaD aate hain aansu 'tabish'
wo juda chahne walon ki tarah hota hai


Source: Book : Ishq Abaab (Pg. 385) Author : Abbas Tabish Edition : 2011

Leave a comment

+