Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tabish Dehlvi

  • Ghazal


sab ne mujh hi ko dar-ba-dar dekha


sab ne mujh hī ko dar-ba-dar dekhā
be-gharī ne mirā hī ghar dekhā

band āñkhoñ se dekh lī duniyā
ham ne kyā kuchh na dekh kar dekhā

kahīñ mauj numū rukī to nahīñ
shāḳh se phuul toḌ kar dekhā

ḳhud bhī tasvīr ban ga.ī nazreñ
ek sūrat ko is qadar dekhā

ham ne us ne hazār sheva ko
kitnī nazroñ se ik nazar dekhā

ab numū pā.eñge diloñ ke zaḳhm
ham ne ik phuul shāḳh par dekhā

sab ne mujh hi ko dar-ba-dar dekha
be-ghari ne mera hi ghar dekha

band aankhon se dekh li duniya
hum ne kya kuchh na dekh kar dekha

kahin mauj numu ruki to nahin
shaKH se phul toD kar dekha

KHud bhi taswir ban gai nazren
ek surat ko is qadar dekha

hum ne us ne hazar shewa ko
kitni nazron se ek nazar dekha

ab numu paenge dilon ke zaKHm
hum ne ek phul shaKH par dekha

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Tabish Dehlvi

Leave a comment

+