Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


musalsal ek mashaqqat be-sabab hai


musalsal ik mashaqqat be-sabab hai
mohabbat bhī bahut mehnat-talab hai

tumhārā ġham hai rishta-dār merā
tumhārī yaad hī merā nasab hai

tum aa jaate to achchhā thā magar ab
mire dil meñ yahī ik aas kab hai

yūñhī aate nahīñ ahvāl takne
vo aa.e haiñ to phir koī sabab hai

mire dālān meñ ganjīna-e-yād
muravvat āshtī uftād sab hai

maiñ raushan huuñ tire partav ke baa.is
mire chehre pe terī tāb-o-tab hai

qayāmat kī ghaḌī guzrī hai aur tū
abhī maujūd-o-zinda hai ajab hai

musalsal ek mashaqqat be-sabab hai
mohabbat bhi bahut mehnat-talab hai

tumhaara gham hai rishta-dar mera
tumhaari yaad hi mera nasab hai

tum aa jate to achchha tha magar ab
mere dil mein yahi ek aas kab hai

yunhi aate nahin ahwal takne
wo aae hain to phir koi sabab hai

mere dalan mein ganjina-e-yaad
murawwat aashti uftad sab hai

main raushan hun tere partaw ke bais
mere chehre pe teri tab-o-tab hai

qayamat ki ghaDi guzri hai aur tu
abhi maujud-o-zinda hai ajab hai


Leave a comment

+