Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chander Wahid

  • Ghazal


yaadon ka dard dil mein hai kuchh yun ubhaar par


yādoñ kā dard dil meñ hai kuchh yuuñ ubhār par
jaise ugā huuñ nanhā sā paudā mazār par

palkoñ pe un kī Thahre haiñ aañsū kuchh is tarah
aa baiTheñ jaise zaḳhmī parinde dvaar par

dukh dard na.iiñ aah mujhe phir se thaam lo
kahte haiñ mujh se log ki maiñ huuñ utaar par

ab chāhe jaise khele hamāre nasīb se
ham ne to chhoḌā faisla parvardigār par

hoñge nahīñ fazāoñ meñ 'vāhid' ke giit ab
sar rakh ke so gayā hai vo TuuTe sitār par

yaadon ka dard dil mein hai kuchh yun ubhaar par
jaise uga hun nanha sa pauda mazar par

palkon pe un ki Thahre hain aansu kuchh is tarah
aa baiThen jaise zaKHmi parinde dwar par

dukh dard nain aah mujhe phir se tham lo
kahte hain mujh se log ki main hun utar par

ab chahe jaise khele hamare nasib se
hum ne to chhoDa faisla parwardigar par

honge nahin fazaon mein 'wahid' ke git ab
sar rakh ke so gaya hai wo TuTe sitar par


Source: Book : سمے کمہار ہے Author : چندر واحد Publication : اے۔1؍بشچمی گورکھ پارک شاہدرہ دہلی۔32 (2001)

Leave a comment

+