Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yusuf Zafar

  • Ghazal


pukarta hun ki tum hasil-e-tamanna ho


pukārtā huuñ ki tum hāsil-e-tamannā ho
agarche merī sadā bhī sadā-ba-sahrā ho

jahāñ tumhārā hai hogā vahī jo tum chāho
mujhe bhī chāhne do kuchh agar to phir kyā ho

jahān o ahl-e-jahāñ ko kisī se kaam nahīñ
mire qarīb to aao ki tum bhī tanhā ho

zamāna madfan-e-ayyām hai ḳhamosh raho
na jaane kaun hamārī sadā ko suntā ho

bharam khulā hai to aise har ik ko dekhtā huuñ
ki jaise maiñ ne kabhī aadmī na dekhā ho

tirā karam hai ki meñ tere dam se jiitā huuñ
mirā nasīb ki tū mere dam se rusvā ho

tire ḳhayāl meñ gum ho ke tai kiye maiñ ne
vo marhale ki jahāñ mauj ābla-pā ho

sazā-e-zīst qayāmat sahī magar ham log
vo zinda haiñ jinheñ har roz roz-e-fardā ho

dhaḌakte dil kī sadā bhī ajiib shai hai 'zafar'
ki jaise koī mire saath saath chaltā ho

pukarta hun ki tum hasil-e-tamanna ho
agarche meri sada bhi sada-ba-sahra ho

jahan tumhaara hai hoga wahi jo tum chaho
mujhe bhi chahne do kuchh agar to phir kya ho

jahan o ahl-e-jahan ko kisi se kaam nahin
mere qarib to aao ki tum bhi tanha ho

zamana madfan-e-ayyam hai KHamosh raho
na jaane kaun hamari sada ko sunta ho

bharam khula hai to aise har ek ko dekhta hun
ki jaise main ne kabhi aadmi na dekha ho

tera karam hai ki mein tere dam se jita hun
mera nasib ki tu mere dam se ruswa ho

tere KHayal mein gum ho ke tai kiye main ne
wo marhale ki jahan mauj aabla-pa ho

saza-e-zist qayamat sahi magar hum log
wo zinda hain jinhen har roz roz-e-farda ho

dhaDakte dil ki sada bhi ajib shai hai 'zafar'
ki jaise koi mere sath sath chalta ho


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+