Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakhtiyar Ziya

  • Ghazal


dard samjhe na koi dard ka darman samjhe


dard samjhe na koī dard kā darmāñ samjhe
log vahshat ko ilāj-e-ġham-e-daurāñ samjhe

dil pe kyā guzrī achānak tire aa jaane se
is nazākat ko bhalā kyā koī mehmāñ samjhe

arsh-o-kursī se pare rakhte haiñ jo lāñgah-e-fikr
manzar-e-dahr ko ham rauzan-e-zindāñ samjhe

vo bhaḌakte hue sho.ale the nasheman ke mire
duur se aap jinheñ sarv-e-charāġhāñ samjhe

yuuñ bhī hālāt se samjhauta kiyā hai aksar
dushman-e-jāñ ko bhī ham apnā nigahbāñ samjhe

dard samjhe na koi dard ka darman samjhe
log wahshat ko ilaj-e-gham-e-dauran samjhe

dil pe kya guzri achanak tere aa jaane se
is nazakat ko bhala kya koi mehman samjhe

arsh-o-kursi se pare rakhte hain jo langah-e-fikr
manzar-e-dahr ko hum rauzan-e-zindan samjhe

wo bhaDakte hue shoale the nasheman ke mere
dur se aap jinhen sarw-e-charaghan samjhe

yun bhi haalat se samjhauta kiya hai aksar
dushman-e-jaan ko bhi hum apna nigahban samjhe


Source: Book : Shab Charagh (Pg. 67) Author : Bakhtiyar Ziya Publication : Markaz-e-adab (1993) Edition : 1993

Leave a comment

+