Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Ajmi

  • Ghazal


adawaton mein jo KHalq-e-KHuda lagi hui hai


adāvatoñ meñ jo ḳhalq-e-ḳhudā lagī huī hai
mohabbatoñ ko koī bad-duā lagī huī hai

panāh detī hai ham ko nashe kī be-ḳhabarī
hamāre biich ḳhabar kī balā lagī huī hai

kamāl hai nazar-andāz karnā dariyā ko
agarche pyaas bhī be-intihā lagī huī hai

palak jhapakte hī ḳhvāhish ne canvas badlā
talāsh karne meñ chehra nayā lagī huī hai

tū āftāb hai jañgal ko dhuup se bhar de
tirī nazar mire ḳheme pe kyā lagī huī hai

ilaaj ke liye kis ko bulā.iye sāhab
hamāre saath hamārī anā lagī huī hai

adawaton mein jo KHalq-e-KHuda lagi hui hai
mohabbaton ko koi bad-dua lagi hui hai

panah deti hai hum ko nashe ki be-KHabari
hamare bich KHabar ki bala lagi hui hai

kamal hai nazar-andaz karna dariya ko
agarche pyas bhi be-intiha lagi hui hai

palak jhapakte hi KHwahish ne canwas badla
talash karne mein chehra naya lagi hui hai

tu aaftab hai jangal ko dhup se bhar de
teri nazar mere KHeme pe kya lagi hui hai

ilaj ke liye kis ko bulaiye sahab
hamare sath hamari ana lagi hui hai


Leave a comment

+