qayām umr-e-ravāñ kā musāfirāna hai
jahāñ meñ rahte haiñ jab tak ki āb-o-dāna hai
abas ġhurūr hai taufīq-e-ḳhair par zāhid
ye us kī rahmat-o-baḳhshish kā ik bahāna hai
mujhe riyāzat-o-tā.at par e'timād nahīñ
sar-e-niyāz mirā terā āstāna hai
fanā hī kā hai baqā naam dūsrā 'anjum'
nafas kī āmad-o-shud maut kā tarāna hai
qayam umr-e-rawan ka musafirana hai
jahan mein rahte hain jab tak ki aab-o-dana hai
abas ghurur hai taufiq-e-KHair par zahid
ye us ki rahmat-o-baKHshish ka ek bahana hai
mujhe riyazat-o-taat par e'timad nahin
sar-e-niyaz mera tera aastana hai
fana hi ka hai baqa nam dusra 'anjum'
nafas ki aamad-o-shud maut ka tarana hai
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 151) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14
Leave a comment