Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aanand Saroop Anjum

  • Ghazal


nae zamane ke nit-nae hadsat likhna


na.e zamāne ke nit-na.e hādsāt likhnā
udaas phūloñ kī zard pattoñ kī baat likhnā

falak darīchoñ se jhāñkte ḳhushnumā manāzir
zamīñ pe be-zāriyoñ meñ lipTī hayāt likhnā

thakan kā ehsās ho to kar lenā yaad us ko
adhūre ḳhvāboñ kī sar-phirī kā.enāt likhnā

siyāhī kis ne bikher dī kore kāġhazoñ par
ki ujle alfāz khā ga.e kaise maat likhnā

ye kaun us kī kahāniyāñ phir sunā rahā hai
kahāñ se aa.ī hai ḳhushbuoñ kī barāt likhnā

añdhere raste meñ raushnī kī sadā se pahle
ye kis ne kāñdhe pe rakh diyā apnā haat likhnā

ujāle fardā ke DhūñDhtī haiñ thakī nigāheñ
ye kin hisāroñ meñ qaid hai apnī zaat likhnā

bhaTak ga.ī hai chahār samtoñ meñ soch kyuuñ kar
ki zehn-o-dil par lagā gayā kaun ghaat likhnā

kalām terā fasurda chehroñ kā aa.ina ho
tū apne ash.ār meñ har ik dil kī baat likhnā

use ye zid thī ki din ko likhūñ maiñ raat 'anjum'
mujhe na manzūr thā kabhī din ko raat likhnā

nae zamane ke nit-nae hadsat likhna
udas phulon ki zard patton ki baat likhna

falak darichon se jhankte KHushnuma manazir
zamin pe be-zariyon mein lipTi hayat likhna

thakan ka ehsas ho to kar lena yaad us ko
adhure KHwabon ki sar-phiri kaenat likhna

siyahi kis ne bikher di kore kaghazon par
ki ujle alfaz kha gae kaise mat likhna

ye kaun us ki kahaniyan phir suna raha hai
kahan se aai hai KHushbuon ki baraat likhna

andhere raste mein raushni ki sada se pahle
ye kis ne kandhe pe rakh diya apna hat likhna

ujale farda ke DhunDhti hain thaki nigahen
ye kin hisaron mein qaid hai apni zat likhna

bhaTak gai hai chahaar samton mein soch kyun kar
ki zehn-o-dil par laga gaya kaun ghat likhna

kalam tera fasurda chehron ka aaina ho
tu apne ashaar mein har ek dil ki baat likhna

use ye zid thi ki din ko likhun main raat 'anjum'
mujhe na manzur tha kabhi din ko raat likhna


Source: Patta Patta

Leave a comment

+